Sandese Aate Hai Patriotic Song Lyrics - Border | Desh Bhakti Song | Patriotic Song for Republic Day
Song Info
Song : Sandese Aate Hai-Ke Ghar Kab Aaoge
Singers : Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod
Music : Anu Malik
Lyrics : Javed Akhtar
Movie : Border
Starcast : Sunil Shetty, Akshaye Khanna, Sunny Deol, Punit Issar, Khulbhushan Kharbanda, Pooja Bhatt, Indrani Mukherjee, Sudesh Bery, Tabbu & Others.
Banner : J P Films
This is one of the most famous Desh Bhakti and song Sabdese Aate Hain. This Patriotic Song Sandese Aate hain Lyrics written by Javed Akhtar and sung by Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod. This song belongs to Border Movie.This is an amazing desh bhakti song lyrics. One of the best Indian Republic day Song.
Sandese Aate Hai Patriotic Song Lyrics
Hoho…
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hai
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hai
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Kisi Dilwaali Ne
Kisi Matwaali Ne
Humein Khat Likha Hai
Yeh Humse Poochha Hai
Kisi Ki Saanson Ne, Kisi Ki Dhadkan Ne
Kisi Ki Choodi Ne, Kisi Ke Kangan Ne
Kisi Ke Kajre Ne,Kisi Ke Gajre Ne
Mahekti Subahon Ne, Machalti Shaamon Ne
Akeli Raaton Ne, Adhoori Baaton Ne
Tarasti Baahon Ne
Aur Poochha Hai Tarsi Nigahon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hai
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Mohabbat Waalon Ne
Hamaare Yaaron Ne
Humein Ye Likha Hai
Ke Humse Poochha Hai
Hamaare Gaaon Ne, Aam Ki Chhaaon Ne
Puraane Peepal Ne,Baraste Baadal Ne
Khet Khaliyaanon Ne, Hare Maidaanon Ne
Basanti Belon Ne, Jhoomti Belon Ne
Lachakte Jhulon Ne, Behekte Phoolon Ne
Chatakti Kaliyon Ne
Aur Poochha Hai Gaaon Ki Galiyon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hai
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Hoho…Hoho…
Kabhi Ek Mamta Ki
Pyaar Ki Ganga Ki
Jo Chitthi Aati Hai
Saath Woh Laati Hai
Mere Din Bachpan Ke
Khel Woh Aangan Ke
Woh Saaya Aanchal Ka
Woh Teeka Kaajal Ka
Woh Lori Raaton Mein, Woh Narmi Haathon Mein
Woh Chaahat Aankhon Mein ,Woh Chinta Baaton Mein
Bigadna Upar Se, Mohabbat Andar Se
Kare Woh Devi Maa
Yahin Har Khat Mein Poochhe Meri Maa
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hai
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge?
Ke Ghar Kab Aaoge?
Likho Kab Aaoge?
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Aye, Guzarne Waali Hawa Bataa
Mera Itna Kaam Karegi Kya?
Mere Gaaon Jaa
Mere Doston Ko Salaam De
Mere GaaonMein HaiJoWoh Gali
Jahaan Rehti Hai Meri Dilrubaa
Use Mere Pyaar Ka Jaam De
Use Mere Pyaar Ka Jaam De
WahiThodi Door Hai Ghar Mera
Mere Ghar Mein Hai Meri Boodhi Maa
Meri Maa Ke Pairon Ko Chhoo Ke Tu
Use Uske Beta Ka Naam De
Aye Guzarne Waali Hawa Zara
Mere Doston Meri Dilrubaa
Meri Maa Ko Mera Payaam De
Unhe Jaake Tu Yeh Payaam De
Main Waapas Aaoonga
Main Waapas Aaoonga
Phir Apne Gaaon Mein
Usiki Chhaaon Mein
Ki Maa Ke Aanchal Se
Gaaon Ke Peepal Se
Kisi Ke Kaajal Se
Kiya Joh Waada Tha Woh Nibhaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga...
0 Comments